Tuesday, July 28, 2009

DEFINETION OF ENGINEER

DEFINETION OF ENGG.------------------
ENGINEER WOH HAI JO AKSAR PHASTA HAI

INTERVIEWS KE SAWAAL MAE

BADI COMPANIYON KI CHAAL MAE

BOSS AUR CLIENT KE BAWAAL MAE



ENGINEER WOH HAI JO PAK GAYA HAI

MEETINGS KI JHELAI MAE

SUBMISSIONS KI GEHRAI MAE

TEAMWORK KI CHATAI MAE



ENGINEER WOH HAI JO LAGA RAHTA HAI

SCHEDULE KO FAILANE MAE

TARGETS KO KHISKAANE MAE

ROZ NAYE-NAYE BAHANE MAE



ENGINEER WOH HAI JO

LUNCH TIME MAE BREAKFAST KARTA HAI

DINNER TIME MAE LUNCH KARTA HAI

COMMUTATION KE WAQT SOYA KARTA HAI



ENGINEER WOH HAI JO PAGAL HAI

CHAI AUR SAMOSE KE PYAR MAE

CIGERATTE KE KHUMAR MAE

BIRDWATCHING KE VICHAR MAE



ENGINEER WOH HAI JO KHOYA HAI

REMINDERS KE JAWAAB MAE

NA MILNE WALE HISAAB MAE

BEHTAR BHAVISHYA KE KHWAAB MAE



ENGINEER WOH HAI JISE INTEZAAR HAI

WEEKEND NIGHT MANANE KA

BOSS KE CHHUTTI JAANE KA

INCREMENT KI KHABAR AANE KA.

No comments:

Post a Comment